Nazar mein bijli, ada mein sholay
Janab-e-ali main sadke jawan
Zara palat ke idhar to dekho
O gusse wali main sadke jawan
Kabhi to humko salaam karlo
Kabhi to pucho ke haal kya hai
Yeh husn tumko diya khuda ne
Tumhara isme kamaal kya hai
Nazar mein bijli, ada mein sholay
Janab-e-ali main sadke jawan
Zara palat ke idhar to dekho
O gusse wali main sadke jawan
Tera yeh aashiq tera deewana
Zamaane bhar se juda hai pyaare
Labon pe mere jo aa gayi hai
Woh tere dil ki sada hai pyaare
Nazar mein bijli, ada mein sholay
Janab-e-ali main sadke jawan
Zara palat ke idhar to dekho
O gusse wali main sadke jawan
Guroor tera main tod dunga
Yeh naaz tera nahi sahunga
Jo pyar se tu yeh jaan maange
Kasam khuda ki main jaan dunga
Nazar mein bijli, ada mein sholay
Janab-e-ali main sadke jawan
Zara palat ke idhar to dekho
O gusse wali main sadke jawan
----------------------
Thanks to (Divya) for correcting these lyrics. Jun 28, 2008